Wednesday, June 1, 2022

Zulqada( jisay hajj ka dusra maheena aur char azmaton walay mahino ( Ziqada, Zil-hajja, Muharram aur Rajab ) mein se pehla maheena kaha jata hai ) islami Taqweem ke aitbaar se gyarahawan maheena kehlata hai. is mahinay ki Azmat o fazeelat ke liye yahi kuch kafi hai ke is mein aam tor par duniya bhar se' ' Hajj' ' jaisi azeemushshan ibadat ada karnay ke liye hujjaj e kiraam harmain shariain ki taraf rakht e safar bandh kar wahan ki haazri ki Saadat haasil karte hain lekin phir bhi Allah tala ne mahe Ziqada ko khususi Sharf o fazeelat bakhshi hai aur is ko un 4 mahino mein shaamil farmaya hay ke jin ki Azmat o buzurgi islam se pehlay bhi thi aur islam ke baad bhi hai, aur woh 4 mahinay yeh hain :Ziqada, Zil-hajja,Muharram,Rajab

No comments:

Post a Comment