Wednesday, September 30, 2020

Sunday, September 20, 2020

वो हस्ती जनाबे रसुल होंगे

क़यामत का दिन होगा हर शख़्स पुकारेगा या अल्लाह नफसी नफसी या अल्लाह मेरी जान बचा। अचानक एक आवाज़ आयेगी या रब उम्मती उम्मती या अल्लाह मेरी उम्मत मेरी उम्मत। वो हस्ती जनाबे रसुल होंगे

Wednesday, September 16, 2020

कुरान के मुताबिक़ लानती लोग

लानत का माना

गुस्से से धुतकारना और दूर करना इसी लिए अल्लाह की लानत का मतलब यह है कि वह बंदों से अपनी वो रहमत और तमाम इनायात और बरकात दूर कर देता है जो उसकी जानीब से उन्हें पहुंचती है

या रसुलल्लाह ‎ﷺ

Tuesday, September 1, 2020

tujh se teri rehmat ka talab-gaar hu maula

tujh se teri rehmat ka talab-gaar hu maula mujrim hon ke Afw ka talab-gaar hu maula

daman ke gunaaho se sharam Shar hon maula
aamaal ki paki ka talab-gaar hu maula

jitne bhi hain bande inhen khushaal to kardey
momin ki bhalai ka talab-gaar hu maula

din raat barasti hai rehmat tairay Dur par
ho haazri haram ki talab gaar hu maula

had se siwa mujh par teri ya rab hai inayat
tofiq ho shukar ki talabb gaar hu maula

maqbool ho Manzoor meri saari duayen
aaqa ke waselay se talab gaar hu maula

mizaan pay khul jaye ga acha ke bura hu achhai ka achay se talabb gaar hu maula

mehashar ki tamazat mein ho jab pyaas ki shiddat
kusar Shah e kusar se talab gaar hu maula

aamaal nahi kuch aur jannat ki talabb hai
fazl ke isharay ka talab-gaar hu maula

jannat bhi hai Nazaan shah e deen ke shehar par
madfan ko madeeney ka talab gaar hu maula

daman mein tairay pyare ke Imran ko panah day 
bakhshish ko Shafaat ka talab-gaar hu maula


Ala hazrat zaat woh Zeeshaan hai

Ala hazrat zaat woh Zeeshaan hai
hind mein Ahmed Raza Zeeshaan hai

quran o sunnat pay hai gehri nazar
is liye woh mufti bhi Zeeshaan hai

aik aik Fatwa hai un ka lajawab
yeh Ata e Nabviya Zeeshaan hai

apne to apne hain dushman bhi kahe
ilm o fun ka aik jahan Zeeshaan hai

woh Muhafiz ban ke chamka hind mein
Sunniyat ka paavan Zeeshaan hai

hifz imaan ki zamanat bilyaqeen
tarjuma kanz iman Zeeshaan hai

karte hain wallah rashk peer bhi
he anokha yeh mureed Zeeshaan hai

Sunniyon ka kaafila behke bhala
jab Ameer e karwan Zeeshaan hai

mustafa Hamid Raza Akhtar Raza
yeh sitary un ke sab Zeeshaan hai

Daman e Ahmed Raza mein le panah
kyun kay imran rishta ye Zeeshaan hai

Izn Sarkar se pata jo Madina dekha

Izn sarkar se paaya jo madinah dekha
bakhat chamkaya hai apna jo madinah dekha

Kaif o masti mein jamai sabz gumbad pay nazar
noor aankhon mein samaya jo madinah dekha

masjid nabwi mein maharab aur mumbar ki Zia
muddua dil ka hai dekha jo madinah dekha

aasi mujrim va gunaggaar ko dete hain panah
Jauka sun ke chala hai jo madinah dekha

Zair e qabar Munawar ki Shafaat hogi
Muzda bakhshish ka hai paaya jo madinah dekha

mout o madfan banay maskan madeeney ki zameen
mangta aaya madinah jo madinah dekha

martay hi jatay hain Daman Shafaat mein wahan
yeh Raza nay hai sunaya jo madinah dekha

baagh jannat se bhi barhkar hai madeeney ka haram
sair e jannat se woh aaya jo madinah dekha

Shah o Sultan bhi bantay hain madeeney mein gadda
badshahat hai woh bhola jo madinah dekha

koye mehboob ke jloon mein jo gum ho aaya
shoq deed is ka hai barha jo madinah dekha

poocha ahbaab nay Imran se kaisa tha safar
lutf jannat ka hai paaya jo madinah dekha

ab to Imran bhi Tayba ka safar kar aaya
bakhat chamkaya hai apna jo madinah dekha