daman ke gunaaho se sharam Shar hon maula
aamaal ki paki ka talab-gaar hu maula
jitne bhi hain bande inhen khushaal to kardey
momin ki bhalai ka talab-gaar hu maula
din raat barasti hai rehmat tairay Dur par
ho haazri haram ki talab gaar hu maula
had se siwa mujh par teri ya rab hai inayat
tofiq ho shukar ki talabb gaar hu maula
maqbool ho Manzoor meri saari duayen
aaqa ke waselay se talab gaar hu maula
mizaan pay khul jaye ga acha ke bura hu achhai ka achay se talabb gaar hu maula
mehashar ki tamazat mein ho jab pyaas ki shiddat
kusar Shah e kusar se talab gaar hu maula
aamaal nahi kuch aur jannat ki talabb hai
fazl ke isharay ka talab-gaar hu maula
jannat bhi hai Nazaan shah e deen ke shehar par
madfan ko madeeney ka talab gaar hu maula
daman mein tairay pyare ke Imran ko panah day

bakhshish ko Shafaat ka talab-gaar hu maula
No comments:
Post a Comment