Tuesday, September 1, 2020

Izn Sarkar se pata jo Madina dekha

Izn sarkar se paaya jo madinah dekha
bakhat chamkaya hai apna jo madinah dekha

Kaif o masti mein jamai sabz gumbad pay nazar
noor aankhon mein samaya jo madinah dekha

masjid nabwi mein maharab aur mumbar ki Zia
muddua dil ka hai dekha jo madinah dekha

aasi mujrim va gunaggaar ko dete hain panah
Jauka sun ke chala hai jo madinah dekha

Zair e qabar Munawar ki Shafaat hogi
Muzda bakhshish ka hai paaya jo madinah dekha

mout o madfan banay maskan madeeney ki zameen
mangta aaya madinah jo madinah dekha

martay hi jatay hain Daman Shafaat mein wahan
yeh Raza nay hai sunaya jo madinah dekha

baagh jannat se bhi barhkar hai madeeney ka haram
sair e jannat se woh aaya jo madinah dekha

Shah o Sultan bhi bantay hain madeeney mein gadda
badshahat hai woh bhola jo madinah dekha

koye mehboob ke jloon mein jo gum ho aaya
shoq deed is ka hai barha jo madinah dekha

poocha ahbaab nay Imran se kaisa tha safar
lutf jannat ka hai paaya jo madinah dekha

ab to Imran bhi Tayba ka safar kar aaya
bakhat chamkaya hai apna jo madinah dekha

No comments:

Post a Comment