🌴 HADEES E MUSTAFA🌹
_*Hazrat e Shimaasah Mahri RaziyAllahu Taala Anhu* bayan karte hain ki *Hazrat Amr bin Aas RaziyAllahu Taala Anhu* jab marz ul maot me(yani jis bimaari me inteqaal Farmaye)the to ham log un ko dekhne gaye_
_*Hazrat Amr bin Aas RaziyAllahu Taala Anhu* bahut deer tak rote rahe phir kaha ki *Mujhe Huzoor e Aqdas Sallallahu Taala Alaihi wasallam* se ziyada koi bhi piyara nahi tha,meri nazar me *Aap Sallallahu Taala Alaihi wasallam* se badh kar koi buzurg tha hi nahi *Aap Sallallahu Taala Alaihi wasallam* ki shaan e jalaalat ke saamne main *Aap Sallallahu Taala Alaihi wasallam* ko ji bhar kar dekh saka Aur agar mujh se kaha jaae ki *RasoolAllah Sallallahu Taala Alaihi wasallam* ka holya(naqsha)bataao to main *Aap Sallallahu Taala Alaihi wasallam* ka holya(naqsha)nahi bata sakta kiunki main *Aap Sallallahu Taala Alaihi wasallam* ko kabhi bhi aankh bhar kar nahi dekh saka._
*_📚Sahih Muslim. Hadees No.121._*
*_NOTE_*
_Zara sochye jis Nabi e paak ko un ke sahaaba nazar bhar kar nahi dekh sake Kiunki kisi ki nazar Huzoor e *Aqdas Sallallahu Taala Alaihi wasallam* ke chehra e paak par tikti hi na thi Aaj kuch Najdi Mulla Nalayak Wahabi usi Nabi ki baraabri karne lage aur apni kitab me yahan tak likh diya ki basa auqaat ummati ibadat me Nabi ke baraabar balki badh jata hai_
_Afsos hai un logon par jin ka ye napaak aqidah hai Ham se kaha jataa hai ki ummat ko ek jagah jama karo ummat me phoot mat daalo aap imaandaari se bataao ki ummat me phot kin logon ne daali Ham kabhi bhi un logon se haath milaane ke liye tayyar nahi jin ka ye napaak aqida ho Kabhi aisa huwa hai ki Ashiq e Rasool aur gustakh e Rasool ek ho jaaen Nahi nahi nahi bilkul bhi nahi.
No comments:
Post a Comment